Laut Ka Anay Wala

Bus ik maafi ab hamari Tauba

 Lo hath jorray, Lo kaan pakrray, 

Ab aur kaisay manayein tum ko.... 

Tumharay aatay hi is nagar say, 

Hamein raqabat si ho gayei hy,, 

Main ye sharrakat bhi kaisay seh loon, 

K chhoo rahi hain hawaein tum ko.... 

Tum aaeina ho aur 

Sang-bari yahan k logon ka mashghalla hy,, 

Har aiK pathar sy dhaal ban kar, 

Bhala kahan tak bachaein tum ko.... 

Tou kya tum ab tak hamari nazron k 

sub taqazon sy bay-khabar ho ? 

Hamain mohabbat hy Tum se 

Ab aur kaisay bataein tum ko

Bus ik maafi ab Tauba


Comments