fiker thi sab se juda' khuaab anokhai us ke phir bhi lagta tha beher rang humaarai jaisa phailti jaati hai saaray main wohi baang-e-dara goonj main jis ki hua sail'kinaaray jaisa
kehta hai derpan maire jaisa ban taareeki ki maot! aik nahif kiran mehnat apna maal waqt"paraya dhan baat na kernai se barhti hai uljhan apnai dill jaisa! koi nahin dushman duniya! lota de mera apna pan jhoolai jee uthai jaag paray jaaman roz wohi qissah!roz wohi uljhan! sadiyaan loot gai paayel ki chan chan ye to bersai ga saawan hai"saawan! saaray khaak samaan tan or man or dhan apnon hi se to hoti an ban sab se acha hai apna gher aangan! piyaas bari hai ya sonay ka bertan? kia uftaad pari! lagta naahin man aadam zaad nahin"basti hai ya ban! kaisa bhi ho roop !matti hay madfan sikkay ke do rukh birhan or dulhan dhoka daitay hain ujlay pairahan rah main khilta phool bewah ka joban donon jhutay hain saajan or saawan aahat kis ki hai taiz hui dharkan utni khuaahish ker jitna hai daaman hum tum donon hain dherti or saawan uks banay kaise hai dhundla derpan zair-e-aab huay khuaabon ke maskan theher gaya hai kion! aankhon main saawan! kaccha sona hi banta hai kundan ik din nikhray ga ger saccha hai fun! kaisay rok sakai ga khushbu ko gulshan Amjad merai saath ab tak hai bachpan sainkron un kahay fasaanai thai,
sard shaamon main aaj bhi akser
us ki rukhsat ka be sada manzer,meri aankhon main jhilmilaata hai
aik lamha hinaai hathon se mujhay apni taraf bulata hai
Comments